کنویں
کا مینڈک کنویں سے آنکھوں میں بہت سے خواب لے کر نکلا تھا۔ ایسا خواب جو کنویں میں
رہنے والے کسی بھی مینڈک نے پہلے نہیں دیکھے تھے۔ اسے وہ سارے خواب پورے کرنا پہلے
بہت آسان سا لگتا۔ لیکن جیسے ہی وہ کنویں سے نکلا اسے بہت سی مشکلات کا سامنا کرنا
پڑا۔ کنویں سے باہر کی دنیا ایک ایسی مسلسل دوڑ تھی جس میں ہر کسی کا چاہتے نہ
چاہتے ہوئے بھی حصہ لینا ضروری تھا۔
باہر
کی دنیا ایک ایسی مستقل دوڑ تھی جس میں بیٹھ کر سستا لینے کا کوئی تصور بھی نہیں
کر سکتا تھا۔ تھک ہار کر یا سستی کی وجہ سے بیٹھ جانے والے دوڑ میں مسلسل بھاگتے
رہنے والوں کے پیروں تلے کچلے جاتے تھے۔ مینڈک کچلا جانا نہیں چاہتا تھا، اسی لئے نہ چاہتے ہوئے بھی اس کو اس دور
کا حصہ بننا پڑا۔ اس دوڑ میں کبھی وہ سب کو پیچھے چھوڑ دیتا اور کبھی اکیلا پیچھے
رہ جاتا۔ کبھی کبھی اس دوڑ میں بھاگتے بھاگتے وہ اتنا مصروف ہو جاتا کہ اس کو
احساس ہی نہ رہتا کہ وہ کیا کیا پیچھے چھوڑ رہا ہے۔
اس کی
اگلی نسلیں بھی پیدا ہوتے ہی اسی دوڑ میں اس کے ساتھ شامل ہوتی چلی گئیں۔ اسے کسی
ایسے لمحے کی تلاش تھی جس میں وہ رک سکے اور اگر رک نہ سکے تو کم از کم اپنا سانس
بحال کر سکے۔ اسی لمحے کی تلاش میں زندگی گزرتی چلی گئی۔ دانستہ یا غیر دانستہ وہ
اپنی اگلی نسلوں کو اس دوڑ میں جیتنے کے لئے مجبور کرتا چلا گیا۔ اسی دوڑ اور اس
کو جیتنے کی جستجو میں اس کی زندگی گزر گئی۔
اب
کنویں کا مینڈک بوڑھا ہو چکا ہے اور اب اسے وہ کنواں بہت یاد آتا ہے جسے وہ بہت
پہلے چھوڑ آیا تھا۔ اس کا بہت دل چاہتا ہے کہ وہ کنویں کی طرف واپس لوٹ جائے۔ کبھی
کبھی وہ جاتا بھی ہے پر اسے کنویں میں وہ آسائشیں نہیں ملتیں جن کا وہ عادی ہو چکا
ہے۔ اس کا بہت دل چاہتا ہے کہ وہ کنویں کے مینڈکوں کے ساتھ بیٹھے، ان سے بات کرے
پر اسے یہ احساس بہت شدت سے ہوتا ہے کہ کنویں میں مینڈک بہت پیچھے رہ گئے ہیں۔ وہ
دیکھ سکتا ہے کہ کنویں کے مینڈک پیچھے رہ گئے ہیں پر وہ کچلے نہیں گئے۔ ان کنویں
کے مینڈکوں نے اس دوڑ میں حصہ نہیں لیا جس میں اس نے اپنی زندگی گزار دی تھی اور
وہ مطمئن ہیں۔ اب اسی کنویں کے مینڈک جس میں وہ پلا بڑھا تھا اسکی عزت بہت کرتے ہیں
پر کچھ کچھ اجنبیوں والا سلوک کرتے ہیں۔
کنویں
کا مینڈک چاہتا ہے کہ اسکی اگلی نسلیں اسی کنویں میں پلیں بڑھیں جس میں وہ پلا بڑھا تھا اور ویسے ہی پلیں
بڑھیں جیسے وہ پلا بڑھا تھا، پر وہ جانتا ہے کہ اسکا یہ خواب پورا نہیں ہو سکتا۔
کنویں کا مینڈک اپنے آپ کو اسی شش و پنج مین پھر سے پا رہا ہے جس میں وہ بہت سال
پہلے تھا جب اس نے کنویں کو چھوڑنے اور باہر نکلنے کا فیصلہ کرنا تھا۔
مینڈک
کو اب کچھ کچھ احساس سا ہونے لگ گیا ہے کہ وہ اپنی اصل چھوڑ چکا ہے۔ وہی اصل جس کو
کنویں کے مینڈک چھوڑنے سے ڈرتے تھے۔ مگر اب بہت دیر ہو چکی ہے۔ اب کنویں کے مینڈک
کے پاس اس ایک غیر مطمئن زندگی گزارنے کے سوا کچھ نہیں ہے۔ کنویں کا مینڈک کنویں
کو چھوڑ تو گیا ہے مگر پھر بھی مطمئن نہ ہو سکا۔
Kunwein ka maindak kunwey se ankho me bohhat se khwab ley kr nikla tha. Aise khwab jo kunwein me rehney waley kisi bhi maindak ne pehley nahi dekhey they. Usey wo saarey khwab purey krna pehley bohhat asaan sa lagta tha. Laikin jese he wo kunwein se nikla usey bohhat si mushkilaat ka saamna krna para. Kunwein se bahar ki dunya aik aisi musalsal dorr thi jis me har kisi ka chahtey na chahtey huey bhi hissa lena zaroori tha.
Bahar ki dunya aik aisi mustaqil dor thi jis me beth kr sasta lene ka koi tasawwur bhi nahi kr skta tha. Thak haar kr ya susti k baais beth janey waley dor me musalsal bhagtey rehney walo k pairo taley kuchley jatey they. Maindak kuchla jana nahi chahta tha isliye na chahtey huey bhi usko is dor ka hissa banna para. Is dor me kabhi wo sab ko peechey chor deta aur kabhi akaila peechey reh jata. Kabhi kabhi is dor me bhagtey bhagtey wo itna masroof ho jata k usko ahsaas he na rehta k wo kya kya peechey chor rha hai.
Uski agli naslein bhi paida hotey he isi dor me usk sath shamil hoti chali gaeen. Usey kisi aise lamhey ki talaash thi jisme wo rukk sakey aur agar rukk na sakey to kum az kum apna saans bahaal kr skey. Isi lamhey ki talaash me zindagi guzarti chali gai. Daanista ya na daanista wo apni agli naslo ko us dor me jeetney k liye majboor krta chala gaya. Isi dor aur usko jeetney ki justujoo me uski zindagi guzar gai.
Ab kunwein ka maindak burha ho chukka hai aur ab usey wo kunwa bohhat yaad aata hai jisey wo bohhat pehley chor aaya tha. Uska bohhat dil chahta hai k wo kunwein ki taraf wapis laut jaye. Kabhi kabhi wo jaata bhi hai par usey kunwein me wo asaaishein nahi milti jinka wo aadi ho chukka hai. Uska bohhat dil chahta hai k wo kunwein k maindako k sath bethey, unse baat krey pr usey yeh ahsaas bohhat shiddat se hota hai k kunwein k maindak bohhat peechey reh gaye hein. Wo dekh skta hai k kunwein k maindak peechey reh gaye hein pr wo kuchley nahi gaye. Un kunwein k maindko ne us dor me hissa nahi liya jisme usne apni zindagi guzari thi aur wo mutmainn hein. Ab usi kunwein k maindak jisme wo pala barha tha uski izzat bohhat krtey hein pr kuch kuch ajnabiyo wala salook krtey hein.
Kunwein ka maindak chahta hai k uski agli naslein usi kunwein me palein barheyn jis me wo pala barha tha aur wese he palein barhein jese wo pala barha tha pr wo jaanta hai k uska yeh khwab poora nahi ho skta. Kunwein ka maindak apney aap ko usi shash o punj me phir paa rha hai jisme wo bohhat saal pehey tha jab usne kunwein ko chorney aur bahar niklney ka faisla krna tha. Maindak ko ab kuch kuch ahsaas sa honey lag gaya hai k wo apni asal chor chukka hai. Wohi asal jisko kunwein k maindak chorney se dartey they. Magar ab bohhat deir ho chuki hai. Ab kunwein k maindak k paas aik ghair mutmainn zindagi guzarney k siwa kuch nahi hai. Kunwein ka maindak kunwein ko chor to gaya hai magar phir bhi mutmainn na ho saka.
Coutesy Urdu Text: Rai Azlan